اردو हिंदी
Meri hi koi baat | Shaahi Shayari
meri hi koi baat

Nazm

Meri hi koi baat

Javed Shaheen

;

bahar ek aawaz hai
tamam aawazon se muKHtalif

faza ki murda shiryanon mein
ek taza sachchai bhar dene wali aawaz

be-his makanon manDlati hui
mere darwaze par dastak deti hui

kabhi maddham kabhi tez
ek bechain dastak

mujh se kuchh kahna chahti hai
mujh tak pahunchana chahti hai

thoDe hi fasle par khaDe ek mausam ki baat
shayad meri hi koi baat

lekin main darwaze tak kaise jaun
use kaise kholun

bahar khaDe mausam ko andar kaise laun
main to arsa hua

apne hath panw
ba-taur-e-zamanat rakh chuka hun

kis jurm mein
kis ke pas rakh chuka hun

bilkul bhul chuka hun