اردو हिंदी
Meri duniya | Shaahi Shayari
meri duniya

Nazm

Meri duniya

Mushaf Iqbal Tausifi

;

main kahta hun duniya be-waqat be-maya hai
aur ye mera dukh sukh bhi kya

ye to bas ek dhup ka TukDa baadal ka saya hai
main ne ye kahne se pahle

gita ya quran pe hath nahin rakkha
lekin sach kahta hun

aur agar main sach kahta hun to mujh ko
ye duniya kyun itni bhati hai

kyun main achanak sote sote aankhen malte uTh jata hun
aur mujhe phir nind nahin aati hai

aur mere bistar pe guzarte waqt ke sae
mere qad ke barabar sae

qabr ki tariki se bhi gahre ho jate hain
mere KHwab lipaT kar mujh se

rote rote so jate hain