اردو हिंदी
Mere nadim! | Shaahi Shayari
mere nadim!

Nazm

Mere nadim!

Faiz Ahmad Faiz

;

KHayal o sher ki duniya mein jaan thi jin se
faza-e-fikr-o-amal arghawan thi jin se

wo jin ke nur se shadab the mah-o-anjum
junun-e-ishq ki himmat jawan thi jin se

wo aarzuen kahan so gai hain mere nadim?
wo na-subur nigahen, wo muntazir rahen

wo pas-e-zabt se dil mein dabi hui aahen
wo intizar ki raaten, tawil tira-o-tar

wo nim-KHwab, shabistan wo maKHmalin bahen
kahaniyan thin kahin kho gai hain mere nadim

machal raha hai rag-e-zindagi mein KHun-e-bahaar
ulajh rahe hain purane ghamon se ruh ke tar

chalo ki chal ke charaghan karen dayar-e-habib
hain intizar mein agli mohabbaton ke mazar

mohabbaten jo fana ho gai hain mere nadim!