kaenat ke intizam mein
ek chhoTa sa zarra hun main
lekin itna jaan gaya hun
mere andar ek sahra hai
jo sadiyon se pyasa hai
main wo amrit DhunDh raha hun
jis se us ki pyas bujhe
mere andar hai ek sagar
kitna gahra koi na jaane
ghota-KHor ke rup mein aksar koshish ki hai
us ki tah tak pahunch sakun
be-shak baDe nizam ka
chhoTa sa hissa hun
lekin mujh mein wo wusat hai
jis mein sau sahra kho jaen
mujh mein hai gahrai aisi
jis mein kai samundar Dube
mere andar ek anokhi duniya hai
kaenat us ka chhoTa sa hissa hai

Nazm
Mere andar
Subodh Lal Saqi