ham-chu sabza bar-ha roida-em
(rumi)
phir ek din aisa aaega
aankhon ke diye bujh jaenge
hathon ke kanwal kumhlaenge
aur barg-e-zaban se nutq o sada
ki har titli uD jaegi
ek kale samundar ki tah mein
kaliyon ki tarah se khilti hui
phulon ki tarah se hansti hui
sari shaklen kho jaengi
KHun ki gardish dil ki dhaDkan
sab ragniyan so jaengi
aur nili faza ki maKHmal par
hansti hui hire ki ye kani
ye meri jannat meri zamin
is ki subhen is ki shamen
be-jaane hue be-samjhe hue
ek musht-e-ghubar-e-insan par
shabnam ki tarah ro jaengi
har chiz bhula di jaegi
yaadon ke hasin but-KHane se
har chiz uTha di jaegi
phir koi nahin ye puchhega
'sardar' kahan hai mahfil mein
lekin main yahan phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chiDiyon ki zaban se gaunga
jab bij hansenge dharti mein
aur konplen apni ungli se
miTTi ki tahon ko chheDengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sarsabz hatheli par le kar
shabnam ke qatre taulunga
main rang-e-hina aahang-e-ghazal
andaz-e-suKHan ban jaunga
ruKHsar-e-urus-e-nau ki tarah
har aanchal se chhin jaunga
jaDon ki hawaen daman mein
jab fasl-e-KHizan ko laengi
rah-rau ke jawan qadmon ke tale
sukhe hue patton se mere
hansne ki sadaen aaengi
dharti ki sunahri sab nadiyan
aakash ki nili sab jhilen
hasti se meri bhar jaengi
aur sara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai 'sardar' yahan
har mashuqa 'sultana' hai
main ek gurezan lamha hun
ayyam ke afsun-KHane mein
main ek taDapta qatra hun
masruf-e-safar jo rahta hai
mazi ki surahi ke dil se
mustaqbil ke paimane mein
main sota hun aur jagta hun
aur jag ke phir so jata hun
sadiyon ka purana khel hun main
main mar ke amar ho jata hun
Nazm
Mera safar
Ali Sardar Jafri