اردو हिंदी
Mera aangan mera peD | Shaahi Shayari
mera aangan mera peD

Nazm

Mera aangan mera peD

Javed Akhtar

;

mera aangan
kitna kushada kitna baDa tha

jis mein
mere sare khel

sama jate the
aur aangan ke aage tha wo peD ki jo mujh se kafi uncha tha

lekin
mujh ko is ka yaqin tha

jab main baDa ho jaunga
is peD ki phungi bhi chhu lunga

barson baad
main ghar lauTa hun

dekh raha hun
ye aangan

kitna chhoTa hai
peD magar pahle se bhi thoDa uncha hai