sansanahaTon ke sath
gaDgaDahaTon ke sath
aa gaya!
pawan-rath pe baiTh kar
mera megh dewta
dosh par hawaon ke
baal uData hua
us ka jamuni badan
aasman pe chha gaya
dur tak garaj hui
zamin dahalne lagi
aasman simaT gaya
baDi ghan-garaj ke sath
TuT kar baras paDa
aur main aankh mund kar
hath pasare hue
dauDti chali gai
ang se laga rahi
nil us ke ang ka
main ki bint-e-jijr hun
mujh mein aisi pyas hai
main ki mere waste
wasl bhi firaq hai
mujh mein aisi aag hai
megh-ras mein bhig kar
hanpti khaDi khaDi
kah raha hai dil mera
yahi hai
madhur milan ki ghaDi
Nazm
Megh dut
Fahmida Riaz