shair ab tak to ye kahta tha ki mera mahbub
kuchh is andaz se chup-chap mere pas aaya
jaise phulon pe utarti hai subuk-pa shabnam
lekin is daur ko kya jaaniye kya rog laga
ab to mahbub ki aamad bhi nahin hashr se kam
ek ek sans mein hain kitne chhanake barpa
ab to mas karti hai jab aise ezar-e-gul se
aisi aawaz se gunj uThti hai gulshan ki faza
jaise jalte hue jangal pe baras jae ghaTa
fan ke mear badalte to hain lekin ab ke
is qadar shor hai kyun ai mere KHamosh KHuda
Nazm
Mear
Ahmad Nadeem Qasmi