mehnat se ye mana chur hain hum
aaram se koson dur hain hum
par laDne par majbur hain hum
mazdur hain hum mazdur hain hum
go aafat o gham ke mare hain
hum KHak nahin hain tare hain
is jag ke raj-dulare hain
mazdur hain hum mazdur hain hum
banne ki tamanna rakhte hain
miTne ka kaleja rakhte hain
sarkash hain sar uncha rakhte hain
mazdur hain hum mazdur hain hum
har chand ki hain adbar mein hum
kahte hain khule bazar mein hum
hain sab se baDe sansar mein hum
mazdur mein hum mazdur hain hum
jis samt baDha dete hain qadam
jhuk jate hain shahon ke parcham
sawant hain hum balwant hain hum
mazdur hain hum mazdur hain hum
go jaan pe lakhon bar bani
kar guzre magar jo ji mein Thani
hum dil ke khare baaton ke dhani
mazdur hain hum mazdur hain hum
hum kya hain kabhi dikhla denge
hum nazm-e-kuhan ko Dha denge
hum arz-o-sama ko hila denge
mazdur hain hum mazdur hain hum
hum jism mein taqat rakhte hain
sinon mein hararat rakhte hain
hum azm-e-baghawat rakhte hain
mazdur hain hum mazdur hain hum
jis roz baghawat kar denge
duniya mein qayamat kar denge
KHwabon ko haqiqat kar denge
mazdur hain hum mazdur hain hum
hum qabza karenge daftar par
hum war karenge qaisar par
hum TuT paDenge lashkar par
mazdur hain hum mazdur hain hum
Nazm
Mazduron ka git
Asrar-ul-Haq Majaz