maut meri sakhi
mere hi sang aangan mein kheli baDhi
meri poshak mere dupaTTe pe wo apne hi pyare hathon se
chand aur tare ugati rahi
zindagani se mujh ko laDati rahi
maut meri sakhi
mere hi sang khane ke luqme bhare
main bhari chand raaton mein miTTi ki kori surahi se
pani pilati rahi
sardiyon ki ThiThurti siyah raat mein
aur safede se labrez kohre bhare
din ko apne khule bazuon mein bulati rahi
maut meri sakhi
meri tanhaiyon ki kaDi dhup mein
chhanw ban kar mere sath chalti rahi
maut meri sakhi meri nabzon ki wo raazdan
mere aansuon ki sab aahaTen is ke hathon se likkhi gain
nafraton aur mohabbat ki sab parchiyan mere daman mein girti rahin
maut meri sakhi un ko chunti rahi
aaj meri sakhi maut meri sakhi
mujh se hi ruTh ke mere ghar se chali
main widai ke sab git honTon mein bhinche
use dekhti hi rahi
mujhe chhoD kar yun na jao
tumhaare bina mere aangan ka tanha shajar
sukhte sukhte ek din is zamin par bikhar jaega
aur masum chiDiyan bina maut mar jaengi
zindagi se jo nata hai kaT jaega
maut meri sakhi
aao phir mujh ko oDho mujhe pahan lo
aao phir mujh ko apne gale se laga lo
mohabbat se phir aasman par uTha lo
chali aao meri sakhi
maut meri sakhi

Nazm
Maut meri sakhi
Shaista Habeeb