wo tabassum ki saDak par
thame jis ki ungliyan
mahw-e-safar tha kal talak
raushan mohabbat ki isi pahchan ko
dargor kar dene se pahle
gham sameTe
narm kandhe par
kisi lab-rez baadal ki tarah
rone laga tha phuT kar
be-chaargi aashuftagi darmandagi
se wasta tha har taraf us ko
magar ye silsila
kab tak kahan tak
taza-dam rahta
man ehsas jaga zehn mein us ke
ki us se aasman kahne laga hai
jab maza chakhna sabhi ko
maut ka hai
ek din lazim
to kaisa gham
nahin kuchh bhi tere bas mein
kamar kas le
wafa karne ko sab rasmen!
Nazm
Maut
Jafar Sahni