اردو हिंदी
Masala | Shaahi Shayari
masala

Nazm

Masala

Parveen Shakir

;

patthar ki zaban ki shaera ne
ek mahfil-e-sher-o-shaeri mein

jab nazm sunate mujh ko dekha
kuchh soch ke dil mein muskurai

jab mez par hum mile to us ne
baDh kar mere hath aise thame

jaise mujhe khojti ho kab se
phir mujh se kaha ki aaj, 'parwin'!

jab sher sunate tum ko dekha
main KHud ko bahut hi yaad aai

wo waqt ki jab tumhaari surat
main bhi yunhi sher kah rahi thi

likhti thi isi tarah ki nazmen
par ab to wo sari nazmen ghazlen

guzre hue KHwab ki hain baaten!
main sab ko Disown kar chuki hun!

patthar ki zaban ki shaera ke
chambeli se narm hath thame

KHushbu ki safir sochti thi
dar-pesh hawaon ke safar mein

pal pal ki rafiq-e-rah mere
andar ki ye sada-lauh 'Alice'

hairat ki jamil wadiyon se
wahshat ke muhib jangalon mein

aaegi to us ka phul-lahja
kya jab bhi saba-nafas rahega!?

wo KHud ko Disown kar sakegi!?