sham ruKHsat ho chuki thi
ehsas ke talwon ko sahla kar
kitna sukun mila tha
tab nange panw
ghas par chalne ko baDa dil chaha
ki achanak
raat aai
siyah kafan mein apna munh chhupae
aur
be-tartib shab-o-roz ke darmiyan
Tangi hui algani par
majbur zindagi
apne kartab dikhlane lagi
aur raat
jis tarah
aasman par aawara baadalon ke TukDe
chandni se aThkheliyan karte hue
sharminda ho jate hain
raat usi tarah
mere jism ke nasheb-o-faraaz se guzarti hui
sharminda ho gai
sham ruKHsat ho chuki thi
Nazm
Manzar yun tha
Shamim Qasmi