main wafa ka saudagar
luT ke dasht-o-sahra se
bastiyon mein aaya hun
KHwab-ha-e-arman hain
ya kuchh ashk ke qatre
zeb-e-tarf-e-mizhgan hain
jaane kab Dhalak jaen
tar tar pairahan
hai lahu mein tar lekin
jama-zebi-e-ulfat
laj tere hathon hai
ek hujum aankhon ka
chiKHte sawalon ka
har jagah hai istada
main hayat ka mujrim
aarzu ka mulzim hun
koi walwala haijaan
koi zist ka arman
kuchh nahin mere dil mein
ai hujum-e-be-payan
main darida-pairahan
sach hai teri basti mein
nang-e-parsai hun
wajh-e-sang-sari hun!
Nazm
Main wafa ka saudagar
Aziz Qaisi