goron ne mere des par apna nizam rakh diya
ek ghulam uTha liya ek ghulam rakh diya
tum ne KHuda ke ghar mein bhi fitna-e-am rakh diya
mere imam ki jagah apna imam rakh diya
us ne to meri yaad ko dil mein chhupaya is tarah
jaise swiss-bank mein mal-e-haram rakh diya
shirin-labon ko dekh ke main kha raha tha mango
us ne jo honT si liye main ne bhi aam rakh diya
ghar mein lughat na thi koi jaldi mein us ke bap ne
binat-e-siyah-fam ka chandni nam rakh diya
baiThi hui hai aaj wo baalon ki wig utar kar
goya sharab phenk kar mez pe jam rakh diya
mujh ko bula ke ghar mein ek shaer-e-ba-kamal ne
taza taam ki jagah taza kalam rakh diya
Nazm
Maine bhi aam rakh diya
Khalid Irfan