main nahin hun magar
ab bhi khilte hain khiDki ke daen taraf
phul bal khai uljhi hui bel par
zindagi ke kisi faisle ki
ghaDi se ulajhte hue
main khurachta raha tha ye roghan
jami hai yahan aaj tak
nanhe dhabbe mein ek
be-kali mere ehsas ki
aur qalin par
meri pyali se chhalki hui
chae ka ek purana nishan
ab bhi takta hai maTyali aankhon se
chhat ki taraf
aaj bhi hain paDi shelf par
jo kitaben KHaridi thin
main ne bahut pyar se
aaj bhi hain juDe
kaghazon ke hasin aainon mein
meri sukhi poron se phuTe hue
kale harfon ke chehre ajab shan se
main to hairan hun
mujh se mansub har ek shai
jun ki tun hai to kya
ek main hi tha jo
ek main hi tha pani ke
sine pe rakha hua naqsh jo
pal do pal ko bana aur miT bhi gaya
Nazm
Main nahin hun magar
Gulnaz Kausar