اردو हिंदी
Main ghair-mahfuz raat se Darta hun | Shaahi Shayari
main ghair-mahfuz raat se Darta hun

Nazm

Main ghair-mahfuz raat se Darta hun

Akhtar Husain Jafri

;

raat ke farsh par
maut ki aahaTen

phir koi dar khula
kaun is ghar ke pahre pe mamur tha

kis ke baalon ki laT
kis ke kanon ke dur

kis ke hathon ka zar, surKH dahliz par qasidon ko mila?
koi pahre pe ho to gawahi mile

ye shikasta shajar
ye shikasta shajar jis ke panw mein KHud apne sae ki mauhum zanjir hai

ye shikasta shajar to muhafiz nahin
ye shikasta shajar to sipahi nahin

shab se Darta hun main
ek taswir-e-be-rang hai samne jis se Darta hun main

ek surat ki jis ke KHad-o-KHal ki meri subh-e-hunar
se shanasai hai

us se Darta hun main
ek shoala ki ab tak KHas-e-jaan mein tha, us ka sarkash sharar

kaghazon mein, makanon mein, baghon mein hai
us ki manus hiddat se Darta hun main

ek aawaz kohsar-e-tafriq par jo saf-ara hain wo apne bhai nahin
is sada ru-ba-sahra se Darta hun main

shab se Darta hun main