roz-e-azal se wo bhi mujh tak aane ki koshish mein hai
roz-e-azal se main bhi us se milne ki koshish mein hun
lekin main aur wo hum donon
apni apni shaklon jaise lakhon gorakh dhandon mein
chup chup aur hairan khaDe hain
kaun hai main
aur kaun hai tu
bas is dard mein khoe hue hain
subh ko milne wale samjhen
jaise ye to roe hue hain
Nazm
Main aur wo
Muneer Niyazi