main ne aawaz di
aur hisar-e-rifaqat mein
us ko bulaya
magar wo na aaya
gul-e-KHwab ki patiyan
dhup ki garm rahat mein gum thin
mere jism par
narm barish ki bunden bhi ghoDe ka sum thin
zamin ek amboh-e-hijran mein
us chap ki muntazir thi
jo la-ilm phailaw mein muntashir thi
parinde subuk reshmin Tahniyan
apni minqar mein tham kar uD rahe the
nasheb-e-junun ki taraf
paniyon ki tarah mere sae bahe the
kaf-e-chashm par main ne us ke liye
shahr-e-girya sajaya
magar wo na aaya
kisi samt se us ki aahaT na aai
bahut der tak raat ke sard-KHane mein
ek aag main ne jalai
kahin dur se
koi be-ant mahrum aawaz aai
judai judai
to phir main ne us ke liye dhund hamwar ki
rasta-e-nau banaya
magar wo na aaya
Nazm
Magar wo na aaya
Rafiq Sandelvi