magar main KHuda se kahunga
KHuda-wand! meri saza tu kisi aur ko de
ki main ne yahan
is zamin par
sazaen qubulin hain un ki
ki jin se mujhe sirf itna talluq raha hai
ki main aur wo
donon tujh ko KHuda mante the!
ye sach hai
tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein
magar main KHuda se kahunga
KHuda-wand! ye din qayamat ka din hai
ye wo din hai
jab tu ne hum sab pe apne ko zahir kiya hai
to is waqt mere gunahon se parda uTha kar
KHudawand! tu apni nuraniyon
apni tabaniyon ko mulawwis na kar
mujhe muaf kar de
use muaf kar de
ki main aur wo donon tujh ko KHuda mante the
ye sach hai
tera aks dekha tha hum ne alag aainon mein
hamein muaf kar de
ki hum ne sazaen qubul ki hain ek dusre ki!
hamein muaf kar de
ki sare gunah sari taqsiren
sach sach bataun
isi din ki KHatir hui thin
Nazm
Magar main KHuda se kahunga
Mohammad Alvi