(1)
kas tarah bayan ho tera paira-e-taqrir
goya sar-e-baatil pe chamakne lagi shamshir
wo zor hai ek lafz idhar nutq se nikla
wan sina-e-aghyar mein paiwast hue tir
garmi bhi hai ThanDak bhi rawani bhi sakun bhi
tasir ka kya kahiye hai tasir hi tasir
eajaz usi ka hai ki arbab-e-sitam ki
ab tak koi anjam ko pahunchi nahin tadbir
atraf-e-watan mein hua haq baat ka shohra
har ek jagah makr-o-riya ki hui tashhir
raushan hue ummid se ruKH ahl-e-wafa ke
peshani-e-ada pe siyahi hui tahrir
(2)
hurriyat-e-adam ki rah-e-saKHt ke rah-gir
KHatir mein nahin late KHayal-e-dam-e-tazir
kuchh nang nahin ranj-e-asiri ki purana
mardan-e-safa-kesh se hai rishta-e-zanjir
kab dabdaba-e-jabr se dabte hain ki jin ke
iman o yaqin dil mein kiye rahte hain tanwir
malum hai un ko ki riha hogi kasi din
zalim ke giran hath se mazlum ki taqdir
aaKHir ko sar-afraaz hua karte hain ahrar
aaKHir ko gira karti hai har jaur ki tamir
har daur mein sar hote hain qasr-e-jam-o-dara
har ahd mein diwar-e-sitam hoti hai tasKHir
har daur mein malun shaqawat hai 'shimar' ki
har ahd mein masud hai qurbani-e-shabbir
(3)
karta hai qalam apne lab o nutq ki tathir
pahunchi hai sar-e-haraf-e-dua ab meri tahrir
har kaam mein barkat ho har ek qaul mein quwwat
har gam pe ho manzil-e-maqsud qadam-gir
har lahza tera tale-e-iqbaal siwa ho
har lahza madad-gar ho tadbir ki taqdir
har baat ho maqbul, har ek bol ho baala
kuchh aur bhi raunaq mein baDhe shola-e-taqrir
har din ho tera lutf-e-zaban aur ziyaada
allah kare zor-e-bayan aur ziyaada
Nazm
Madh
Faiz Ahmad Faiz