baDi hairan-kun hai
haqiqat KHwab hai ya KHwab se aage ki manzil
ye duniya KHwab ki duniya pe sabqat le gai hai
fasanon se fuzun-tar zindagi hai
guman ki sarhaden hon ya taKHayyul ki uDanen
KHirad ki jast se pichhe kahin pichhe dikhai de rahi hain
KHirad ki dastaras mein kya nahin hai
nahin hai ghair-mumkin
kabhi imkan se jo mawara tha
faqat ek dastan hai
gae waqton mein jo raij asatiri KHuda tha
dar-e-ijad ki chaukhaT pe hairat surangon hai
ye sab idrak ka dast-e-junun hai
pas-e-idrak jalwa-afrin hai aql ki jadu-nigahi
shuur-e-asr-e-hazir mein simaTti hai KHudai
samaat ka ye aalam hai jo gum-gashta sadaen thi sunai de rahi hain
basarat us bala ki hai ki zarre mein bhi duniyaen dikhai de rahi hain
jahan-e-agahi ke raston par chalte chalte
sitaron ko sar-e-imkan talak ab la chuke hain
nai duniyaon ke hum bhed kya kya pa chuke hain
KHirad ye chahti hai maut ko bhi zer kar de
wajud-e-hast phaila de qayam zindagi ta-der kar de
KHirad ki ye fusun-kari ye itni tez-raftari kahan ja kar thamegi
kahan par KHatm hogi
kahani justuju ki
jahan insan ki ugla paDaw hai wo manzil
wo manzil ajnabi raston ka hasil
kisi anjaan duniya se mumasil
mujhe ye KHauf khae ja raha hai
ki apni zat apne aap se hum
kahin niklen to itni dur ja pahunchen jahan se wapsi mumkin nahin ho

Nazm
Mabaada
Salman Sarwat