tabiat jabriya taskin se ghabrai jati hai
hansun kaise hansi kam-baKHt tu murjhai jati hai
bahut chamka raha hun KHal-o-KHat ko sai-e-rangin se
magar pazhmurdagi si KHal-o-KHat par chhai jati hai
umidon ki tajalli KHub barsi shisha-e-dil par
magar jo gard thi tah mein wo ab tak pai jati hai
jawani chheDti hai lakh KHwabida tamanna ko
tamanna hai ki us ko nind hi si aai jati hai
mohabbat ki nigun-sari se dil Duba sa rahta hai
mohabbat dil ki izmehlal se sharmai jati hai
faza ka sog utra aa raha hai zarf-e-hasti mein
nigah-e-shauq ruh-e-arzu kajlai jati hai
ye rang-e-mai nahin saqi jhalak hai KHun-shuda dil ki
jo ek dhundli si surKHi ankhDiyon mein pai jati hai
mere mutrib na de lillah mujh ko dawat-e-naghma
kahin saz-e-ghulami par ghazal bhi gai jati hai
Nazm
Mahaul
Kaifi Azmi