sulagte din hain
tawil tanhaiyan mere sath leTe leTe
faza se aankhen laDa rahi hain
mere dariche ke pas sunsan rahguzar hai
abhi abhi ek rela aaya tha gard ka jo lapeT kar le gaya hai tinkon ko sath apne
meri kitabon mein kuchh nahin hai
huruf be-ruh bad-maza hain
hikayaten apne KHushk honTon ko chaTti hain
tamam ashaar-e-tishnagi ke lahu mein palken Dubo rahe hain
na rang-o-naghma na jam-o-mina na raqs-o-masti
bagule sab ko nigal rahe hain
tumhaari taswir DhunDhta hun
ki jis ke ThanDe ghanere sae mein baiTh kar koi baat sochun
magar mere pas lu ke jhonke hain gard hai aur kuchh kitaben
tumhaari taswir kho chuki hai
Nazm
Lo gard aur kitaben
Balraj Komal