hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
asbab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
virani-e-dauran pe karam karte rahenge
han talKHi-e-ayyam abhi aur baDhegi
han ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
manzur ye talKHi ye sitam hum ko gawara
dam hai to mudawa-e-alam karte rahenge
mai-KHana salamat hai to hum surKHi-mai se
tazin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
baqi hai lahu dil mein to har ashk se paida
rang-e-lab-o-ruKHsar-e-sanam karte rahenge
ek tarz-e-taghaful hai so wo un ko mubarak
ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
Nazm
Lauh-o-qalam
Faiz Ahmad Faiz