dur shab ka sard hat
aasman ke KHema-e-zangar ki
aaKHiri qindil gul karne baDha
aur komal chandni
ek dar-basta gharaunde se pare
muzmahil peDon pe gir kar bujh gai
be-nishan sae ki dhimi chap par
aongte raste ke har zarre ne pal bhar ke liye
apni palkon ki bujhi darzon se jhanka
aur aankhen mund len
us samay taq-e-shikasta par larazte dip se
main ne puchha
ham-nafas
ab tere bujhne mein kitni der hai?
Nazm
Larazta dip
Shakeb Jalali