na rowo jabr ka aadi hun mujh pe rahm karo
tumhein qasam meri warafta zindagi ki qasam
na rowo baal bikhero na tum KHuda ke liye
andheri raat mein jugnu ki raushni ki qasam
main kah raha hun na rowo ki mujh ko hosh nahin
yahi to KHauf hai aansu mujhe baha denge
main jaanta hun ki ye sail bhi sharare hain
meri hayat ki har aarzu jala denge
na itna rowo ye qindil bujh na jae kahin
ise KHud apna lahu de ke main jalata hun
jo hum ne mil ke uThae the wo mahal baiThe
ab apne hath se miTTi ka ghar banata hun
tumhaare waste shabnam nichoD sakta hun
zar o jawahir o gauhar kahan se laun main
tumhaare husn ko ashaar mein saja dunga
tumhaare waste zewar kahan se laun main
hasin mez subuk jam qimti fanus
mujhe ye shak hai main kuchh bhi to de nahin sakta
ghulam aur ye shaer ka jazba-e-azad
main apne sar pe ye ehsan le nahin sakta
mujhe yaqin hai tum mujh ko muaf kar dogi
ki hum ne sath jalae the zindagi ke kanwal
ab is ko kya karun dushman ki jit ho jae
hamare sar pe baras jae yas ka baadal
na rowo dekho meri sans thartharaati hai
qarib aao main aansu to ponchh kar dekhun
suno to soi hui zindagi bhi chiKH uTThe
qarib aao wahi baat kan mein kah dun
na rowo meri siyah-baKHtiyon pe mat rowo
tumhein qasam meri aashufta-KHatiri ki qasam
miTa do aariz-e-taban ke bad-numa dhabbe
tumhaare honTon pe us lams-e-aKHiri ki qasam
Nazm
Lams-e-aKHiri
Akhtar Payami