kuchh dur talak
kuchh dur talak
wo lamha us ke sath chala
jab us ne dil mein ye socha
ye girti diwaren
ye dhuan
ye kali chhaten
ye andhe diye
sanwlate hue sare chehre
ab us ki nigahon se ojhal ho jaenge
jab nagar nagar ki siyahi
in teDhi-meDhi saDkon ki
aawaragardi
hanste jism
khanakte pyalon
ki mausiqi
us ko ras na aai
us ne kaha
ab aao lauT chalen
ek sham wo apne ghar pahuncha
aur us se milne ko aae
sab sathi us ke bachpan ke
sab kahne lage
in jag-mag karte shahron ka
kuchh haal batao
apne safar ki
kuchh rudad kaho
wo KHamosh raha
wo dekh raha tha us maile se taq ko
jis par
ab bhi ek ghaDi rakkhi thi
aur wo band paDi thi
Nazm
Lamhe ki maut
Khalilur Rahman Azmi