lahu pukarta hai
har taraf pukarta hai
sahar ho, sham ho, KHamoshi ho ki hangama
julus-e-gham ho ki bazm-e-nashat-arai
lahu pukarta hai
lahu pukarta hai jaise KHushk sahra mein
pukara karte the paighambaran-e-israil
zamin ke sine se aur aastin-e-qatil se
gulu-e-kushta se behis zaban-e-KHanjar se
sada lapakti hai har samt harf-e-haq ki tarah
magar wo kan jo bahre hain sun nahin sakte
magar wo qalb jo sangin hain hil nahin sakte
ki un mein ahl-e-hawas ki sada ka sisa hai
wo jhukte rahte hain lab-ha-e-iqtidar ki samt
wo sunte rahte hain bas hukm-e-hakiman-e-jahan
tawaf karte hain arbab-e-gir-o-dar ke gird
magar lahu to hai be-bak o sarkash o chaalak
ye shoala mai ke piyale mein jag uThta hai
libas-e-atlas-o-diba mein sarsaraata hai
ye damanon ko pakaDta hai shah-rahon mein
khaDa hua nazar aata hai dad-gahon mein
zamin sameT na paegi us ki banhon mein
chhalak rahe hain samundar sarak rahe hain pahaD
lahu pukar raha hai lahu pukarega
ye wo sada hai jise qatl kar nahin sakte
Nazm
Lahu pukarta hai
Ali Sardar Jafri