kahin nahin hai kahin bhi nahin lahu ka suragh
na dast-o-naKHun-e-qatil na aastin pe nishan
na surKHi-e-lab-e-KHanjar na rang-e-nok-e-sinan
na KHak par koi dhabba na baam par koi dagh
kahin nahin hai kahin bhi nahin lahu ka suragh
na sarf-e-KHidmat-e-shahan ki KHun-baha dete
na din ki nazr ki baiana-e-jaza dete
na razm-gah mein barsa ki mo'tabar hota
kisi alam pe raqam ho ke mushtahar hota
pukarta raha be-asra yatim lahu
kisi ko bahr-e-samaat na waqt tha na dimagh
na muddai na shahadat hisab pak hua
ye KHun-e-KHak-nashinan tha rizq-e-KHak hua
Nazm
Lahu ka suragh
Faiz Ahmad Faiz