mere jahan mein saman-zar DhunDne wale
yahan bahaar nahin aatishin bagule hain
dhanak ke rang nahin surmai fazaon mein
ufuq se ta-ba-ufuq phansiyon ke jhule hain
phir ek manzil-e-KHunbar ki taraf hain rawan
wo rahnuma jo kai bar rah bhule hain
buland dawa-e-jamhuriyat ke parde mein
farogh-e-majlish-o-zindan hain taziyane hain
ba-nam-e-amn hain jang-o-jadal ke mansube
ba-shor-e-adl tafawut ke kar-KHane hain
dilon pe KHauf ke pahre labon pe qufl sukut
suron pe garm salaKHon ke shamiyane hain
magar haTe hain kahin jabr aur tashaddud miTe
wo falsafe ki jila de gae dimaghon ko
koi sipah-e-sitam pesha chur kar na saki
bashar ki jagi hui ruh ke ayaghon ko
qadam qadam pe lahu nazar de rahi hai hayat
sipahiyon se ulajhte hue charaghon ko
rawan hai qafila-e-irtiqa-e-insani
nizam-e-atish-o-ahan ka dil hilae hue
baghawaton ke duhal baj rahe hain chaar taraf
nikal rahe hain jawan mishalen jalae hue
tamam arz-e-jahan kholta samundar hai
tamam koh-o-bayaban hain tilmilae hue
meri sada ko dabana to KHair mumkin hai
magar hayat ki lalkar kaun rokega
fasil-e-atish-o-ahan bahut buland sahi
badalte waqt ki raftar kaun rokega
nae KHayal ki parwaz rokne walo
nae awam ki talwar kaun rokega
panah leta hai jin majlison mein tera nizam
wahin se subh ke lashkar nikalne wale hain
ubhar rahe hain fazaon mein ahmarin parcham
kinare mashriq-o-maghrib ke milne wale hain
hazar barq gire lakh aandhiyan uThen
wo phul khil ke rahenge jo khilne wale hain

Nazm
Lahu nazr de rahi hai hayat
Sahir Ludhianvi