main ek lahar ka Thahrao
jame hue KHun ka dauran
kaTe hue hathon ki panja-azmai mera jihad
nau-jawan buDhon ki na-KHud-nawisht
meri asriyat
tariKH mere ghar ka bujha hua chulha
roTiyon se ziyaada bhuk pakata hai
mera shahr us aurat ka hamal
jo istiqrar se ziyaada isqat Dhaalta hai
barson pahle
natshe ne kaha tha KHuda mar gaya
aur aaj
jama masjid ke pichhe wali basti mein
bosida makanon aur tarik galiyon mein
ek buDha bhi
yahi chiKHta hai
jama masjid ke chaar minaron se
rone ki aawazen
nashr ho rahi hain
Nazm
Lahar ka Thahrao
Farhat Ehsas