dekhte hi dekhte unhon ne sayyare ko lafzon se bhar diya
faislon aur faslon ko tul dene ka fan unhen KHub aata hai
jahaz bandar-gahon mein khaDe hain
aur gharon, godamon, dukanon mein
kisi lafz ke liye jagah nahin rahi
itne bahut se lafz uff KHudaya!
mujhe is zamin par chalte hue aThThais baras ho gae
bap, man, bahnon, bhaiyon aur mahbubaon ke darmiyan
insanon ke darmiyan
main ne dekha
in tarifon, taarufon aur taziyaton ke liye
un ke pas larazte hue honT hain
DabDabai hui aankhen hain
garm hatheliyan hain
unhen kisi iblagh ki zarurat nahin
nan-bai gungunata hai
use lafz nahin chahiye
ek nand aaTa ghundhne ke liye
ek taKHta peDe banane ke liye
ek salaKH tannur se roTi nikalne ke liye
nan-bai ka kaam KHatm kar lo to mere pas aana
yahan kinare par sarkandon ka jangal aap hi aap ug aaya hai
kuchh qalam main ne tarashe hain
aur ek bansuri
baqi sarkandon se ek kashti banai hai
gaDarya, kisan, kashtkar, mausiqar, aahan-gar
sab tayyar hain
kuchh aawazen kashti mein rakh li hain
madrase ki ghanTi
ek lori
aur ek dua
ek nai zamin par zinda rahne ke liye is se ziyaada kuchh nahin chahiye
Nazm
Lafzon ke darmiyan
Sarvat Husain