taam-gahon ki
bachi-khuchi ghiza pe pal raha tha
nam-zada shagafon
ghun lage daraazon mein
chhupa hua
wo mutmain tha
ghair-mari naliyon se
main hol tak
ghalazaten baha ke lane wali
sust o tez
sari linon mein ghumta tha
ek roz
hast ki girah mein
us ki lanbi Tang
ek anokhe pech mein ulajh gai
to Tis dard ki uThi
wajud phaDphaDa gaya
jhaTak ke Tang
pech se nikal li
to ek dam use laga
ki us ki dastaras mein par bhi hain
ajib saniya tha
paniyon ki haul-nak bu mein
kich ki umas mein
donon waqt mil rahe the
haala-e-nafas mein
dhire dhire us ke
sandalin sunahri par bhi hil rahe the!
lal bag
jo shurua din se
maut aur zindagi
safai aur gandagi
nikasi-e-wajud
KHair o shar
rawani o jumud ke muamalat mein ghira hua tha
KHak-rubon, mehtaron ke sath
kaenati moriyon zamani bad-ruon mein
rahte rahte tang aa gaya tha
raste ke bich hi se muD gaya
achanak ek roz
lal bag uD gaya!!
Nazm
Lal bag uD gaya
Rafiq Sandelvi