اردو हिंदी
Kuchh baaten | Shaahi Shayari
kuchh baaten

Nazm

Kuchh baaten

Sahir Ludhianvi

;

des ke adbar ki baaten karen
ajnabi sarkar ki baaten karen

agli duniya ke fasane chhoD kar
us jahannam-zar ki baaten karen

ho chuke ausaf parde ke bayan
shahid-e-bazar ki baaten karen

dahr ke haalat ki baaten karen
is musalsal raat ki baaten karen

mann-o-salwa ka zamana ja chuka
bhuk aur aafat ki baaten karen

aao parkhen din ke auham ko
ilm-e-maujudat ki baaten karen

jabir-o-majbur ki baaten karen
us kuhan dastur ki baaten karen

taj-e-shahi ke qaside ho chuke
faqa-kash jamhur ki baaten karen

girne wale qasr ki tausif kya
tesha-e-mazdur ki baaten karen