ai dekhne walo
is husn ko dekho
is raaz ko samjho
ye naqsh-e-KHayali
ye fikrat-e-ali
ye paikar-e-tanwir
ye krishn ki taswir
mani hai ki surat
sanat hai ki fitrat
zahir hai ki mastur
nazdik hai ya dur
ye nar hai ya nur
duniya se nirala
ye bansuri wala
gokul ka gwala
hai sehr ki eajaz
khulta hi nahin raaz
kya shan hai wallah
kya aan hai wallah
hairan hun kya hai
ek shan-e-KHuda hai
but-KHane ke andar
KHud husn ka but-gar
but ban gaya aa kar
wo turfa nazzare
yaad aa gae sare
jamuna ke kinare
sabze ka lahakna
phulon ka mahakna
ghanghor ghaTaen
sarmast hawaen
masum umangen
ulfat ki tarangen
wo gopiyon ke sath
hathon mein diye hath
raqsan hua brijnath
bansi mein jo lai hai
nashsha hai na mai hai
kuchh aur hi shai hai
ek ruh hai raqsan
ek kaif hai larzan
ek aql hai mai-nosh
ek hosh hai madhosh
ek KHanda hai sayyal
ek girya hai KHush-haal
ek ishq hai maghrur
ek husn hai majbur
ek sehr hai mashur
darbar mein tanha
lachaar hai kirishna
aa shyam idhar aa
sab ahl-e-KHusumat
hain dar pae izzat
ye raj dulare
buzdil hue sare
parda na ho taraj
bekas ki rahe laj
aa ja mere kale
bhaarat ke ujale
daman mein chhupa le
wo ho gai an-ban
wo garm hua ran
ghaalib hai duryodhan
wo aa gae jagdish
wo miT gai tashwish
arjun ko bulaya
updesh sunaya
gham-zad ka gham kya
ustad ka gham kya
lo ho gai tadbir
lo ban gai taqdir
lo chal gai shamshir
sirat hai adu-soz
surat nazar-afroz
dil kaifiyat-andoz
ghusse mein jo aa jae
bijli hi gira jae
aur lutf par aae
to ghar bhi luTa jae
pariyon mein hai gulfam
radha ke liye shyam
balram ka bhayya
mathura ka basayya
bindra mein kanhayya
ban ho gae viran
barbaad gulistan
sakhiyan hain pareshan
jamuna ka kinara
sunsan hai sara
tufan hain KHamosh
maujon mein nahin josh
lau tujh se lagi hai
hasrat hi yahi hai
ai hind ke raja
ek bar phir aa ja
dukh dard miTa ja
abr aur hawa se
bulbul ki sada se
phulon ki ziya se
jadu-asari gum
shorida-sari gum
han teri judai
mathura ko na bhai
tu aae to shan aae
tu aae to jaan aae
aana na akele
hon sath wo mele
sakhiyon ke jhamele
Nazm
Krishn kanhayya
Hafeez Jalandhari