sari chilmanen
tiliyon ki shakl mein bikhar chuki hain
kamzor dhage
kahaniyan banne se aari
momi shamen pighal pighal kar zamin-bos
parwane rasta bhaTak chuke hain
be-rang os ke dhabbe
ja-ba-ja aanganon mein phaile hain
suraj ne aankhen nahin kholin
qatra qatra pi rahi hai ghas
chand ki jhuTi sharab
KHakistari yaadon ki bara-dari mein
an-chahe qadmon ki bazgasht
ubharti Dubti rahti hai
zaban ki nok par zahr ki chand bunden
maidan-e-harb se
KHabar aane tak
ya phir us angushtari ke kho jaane tak
Nazm
Kolaz
Shahnaz Nabi