lamha lamha roz-marra zindagi ke sath hai
ek lamha jo kisi aaise jahan ki zindagi ka hath hai
jis mein main rahta nahin jis mein koi rahta nahin
jis mein koi din nahin hai raat ka pahra nahin
jis mein sunta hi nahin koi na koi baat hai
roz-marra zindagi se yun guzarta hai kabhi
sath le jata hai guzri umr ke hisse kabhi
jo basar ab tak hua us ko ghalat karta hua
aur hi ek zindagi se aashna karta hua
jo guman tak mein na tha us ko dikha jata hua
wahm tak jis ka na tha us waqt ko lata hua
phir chala jata hai apne asl ke aasar mein
aur hum masruf ho jate hain phir
apne roz-o-shab ke karobar mein
Nazm
Koi ojhal duniya hai
Muneer Niyazi