اردو हिंदी
Kisi aaine ka | Shaahi Shayari
kisi aaine ka

Nazm

Kisi aaine ka

Sahil Ahmad

;

main KHud ka taaruf kya de sakta hun
aaina jab mujh ko mera hi chehra dikhlata hai

jaise mera chehra mera nahin aaine ka hai
lekin jis ka chehra apna hota hai

waqai us ka chehra hota hai
aaine aise chehre ko dikhlane se aajiz hota hai

wo us chehre ko munakis karta hai
kyun ki jo chehra, chehra hota hai

muhtaj nahin wo hota hai
kisi aaine ka

kisi wasile ka