bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai
main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai
sarapa rang-o-bu hai paikar-e-husn-o-latafat hai
bahisht-e-gosh hoti hain guhar-afshaniyan us ki
wo mere aasman par aKHtar-e-subh-e-qayamat hai
surayya-baKHt hai zohra-jabin hai mah-e-talat hai
mera iman hai meri zindagi hai meri jannat hai
meri aankhon ko KHira kar gain tabaniyan us ki
wo ek mizrab hai aur chheD sakti hai rag-e-jaan ko
wo chingari hai lekin phunk sakti hai gulistan ko
wo bijli hai jala sakti hai sari bazm-e-imkan ko
abhi mere hi dil tak hain sharer-samaniyan us ki
zaban par hain abhi ismat o taqdis ke naghme
wo baDh jati hai is duniya se aksar is qadar aage
mere taKHil ke bazu bhi us ko chhu nahin sakte
mujhe hairan kar deti hain nukta-daniyan us ki
jabin par saya-gustar partaw-e-qindil-e-rahbani
azar-e-narm-o-nazuk par shafaq ki rang-afshani
qadam par loTti hai azmat-e-taj-e-sulaimani
azal se mo'taqid hai mahfil-e-nuraniyan us ki
adaen le ke aai hai wo fitrat ke KHazanon se
jaga sakti hai mahfil ko nazar ke tazyanon se
wo malka hai KHiraj us ne liye hain bostanon se
bas ek main ne hi aksar ki hain na-farmaniyan us ki
wo meri juraton par be-niyazi ki saza dena
hawas ki zulmaton par naz ki bijli gira dena
nigah-e-shauq ki bebakiyon par muskura dena
junun ko dars-e-tamkin de gain nadaniyan us ki
wafa KHud ki hai aur meri wafa ko aazmaya hai
mujhe chaha hai mujh ko apni aankhon par biThaya hai
mera har sher tanhai mein us ne gungunaya hai
suni hain main ne aksar chhup ke naghma-KHwaniyan us ki
mere chehre pe jab bhi fikr ke aasar pae hain
mujhe taskin di hai mere andeshe miTae hain
mere shane pe sar tak rakh diya hai git gae hain
meri duniya badal deti hain KHush-alhaniyan us ki
lab-e-lalin pe lakha hai na ruKHsaron pe ghaza hai
jabin-e-nur-afshan par na jhumar hai na Tika hai
jawani hai suhag us ka tabassum us ka gahna hai
nahin aaluda-e-zulmat sahar-damaniyan us ki
koi mere siwa us ka nishan pa hi nahin sakta
koi us bargah-e-naz tak ja hi nahin sakta
koi us ke junun ka zamzama ga hi nahin sakta
jhalakti hain mere ashaar mein jaulaniyan us ki
Nazm
Kis se mohabbat hai
Asrar-ul-Haq Majaz