meri jaan go tujhe dil se bhulaya ja nahin sakta 
magar ye baat main apni zaban par la nahin sakta 
tujhe apna banana mojib-e-rahat samajh kar bhi 
tujhe apna bana lun ye tasawwur la nahin sakta 
hua hai bar-ha ehsas mujh ko is haqiqat ka 
tere nazdik rah kar bhi main tujh ko pa nahin sakta 
mere dast-e-hawas ki dastaras hai jism tak tere 
samajhta hun ki tere dil pe qabza pa nahin sakta 
tere dil ki tamanna bhi karun to kis bharose par 
main KHud dargah mein teri ye tohfa la nahin sakta 
meri majburiyon ko bhi bahut kuchh daKHl hai is mein 
tujhi ko morid-e-ilzam main Thahra nahin sakta 
main tujh se baDh ke apni aabru ko pyar karta hun 
main apne izzat-o-namus ko Thukra nahin sakta 
tere mahaul ki pasti ka tana dun tujhe kyun kar 
main KHud mahaul se apne rihai pa nahin sakta
        Nazm
Ki dar guftan nami aayad
Gopal Mittal

