اردو हिंदी
KHwahish ka jurm | Shaahi Shayari
KHwahish ka jurm

Nazm

KHwahish ka jurm

Kumar Pashi

;

us ne KHwahish ki to wo zahir hua
rang tariki se nikle aur sada dene lage

saya saya ho gai kali gupha ki tirgi
aur har manzar numayan ho gaya

main bhi tha ek raushni aur tirgi ke darmiyan
mujh ko bhi zalim hawa ne Das liya

aur main bhi zindagi ki aag mein jalte laga
KHak-o-KHun ke rang mein Dhalne laga

us ne KHwahish ki to us ko maut ke sae mile
main ne KHwahish ki to mujh ko jism ka maqtal mila