aankh band hote hi
KHwab jag jate hain
KHwab nind ka jadu
kaun kaun aata hai!
koi ajnabi chehra
koi jaana pahchana!
koi dilruba laDki
koi dost ki biwi
koi ghair ki aurat!
jism jagmagate hain!
lamha lamha wahshat hai
har gunah afsana
dhaDkanon ka nazrana
jab bhi aankh khulti hai
KHud se KHauf aata hai
tujh se ji churaata hun
KHwab ka har ek lamha
mujh ko apni nazron se
jaane kyun giraata hai
kash meri aankhon se
sare KHwab dhul jaen
Nazm
KHwab
Sabir Dutt