KHwab mazdur hai
raat din sar pe bhaari taghaari liye
sans ki
bans ki
hanpti-kanpti siDhiyon par
utarta hai
chaDhta hai
ru-posh meamar ke hukm par
ek la-shakl naqshe pe uThti hui
upar uThti hui
gol diwar ke
KHisht-dar-KHisht chakkar mein mahsur hai
KHwab mazdur hai!
ek mashaqqat-zada aadmi ki tarah
main haqiqat ki duniya mein
ya KHwab mein
roz mamul ke kaam karta hun
kuchh der aaram karta hun
kanTon bhari khaT mein
pyas ke jam pita hun
aur sozan-e-hijr se
apni udhDi hui tan ki poshak sita hun
jita hun
kaisi anokhi haqiqat hai
kaisa ajab KHwab hai
ek mashaqqat-zada aadmi ki tarah
apne hisse ki bajri uThane pe mamur hai
KHwab mazdur hai!!
Nazm
KHwab mazdur hai
Rafiq Sandelvi