wo zamane aur the jab tera gham sahta tha main
jab tere honTon ki rangini se kuchh kahta tha main
jab tere baalon se ghanTon khelta rahta tha main
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
yak-ba-yak bijli si chamki aur nasheman luT gaya
tu ne barson jis ko sincha tha wo gulshan luT gaya
tu ne moti jis mein Tanke the wo daman luT gaya
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
tujh ko jis dil se mohabbat thi wo ab dil hi nahin
raqs jis ka tujh ko bhata tha wo bismil hi nahin
rang-e-mahfil tujh se kya kahiye wo mahfil hi nahin
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
ab na wo shauq-e-tasawwur, ab na wo zauq-e-fughan
miT rahe hain rafta rafta ahd-e-rafta ke nishan
dhundli dhundli si nazar aati hain kuchh parchhaiyan
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
ye jawani, ye pareshani, ye paiham iztirab
bar-ha uljhan mein dauDa hun su-e-jam-e-sharab
bar-ha ghabra ke chheDa hai gunahon ka rabab
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
rang-e-sahba aur hai sahba ki masti aur hai
zikr-e-pasti aur hai ehsas-e-pasti aur hai
KHwab-e-hasti aur hai tabir-e-hasti aur hai
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
Nazm
KHwab-e-hasti
Moin Ahsan Jazbi