aaj is bazm mein aae ho baDi dhum ke sath
be-KHudi mahw-e-nazara hai tumhaari KHatir
yaad aate hain wo ayyam-e-judai hum ko
jinhen hans hans ke guzara hai tumhaari KHatir
go ma-e-lutf se KHali nahin pindar-e-junun
yan gham-e-ishq ka yara hai tumhaari KHatir
ranj uThana to koi baat nahin hai lekin
zahr pina bhi gawara hai tumhaari KHatir
haar aur jit ke mafhum mein kya rakkha hai
jit kar bhi koi haara hai tumhaari KHatir
turk-e-shiraaz ho tum hafiz-e-shiraaz hun main
ab samarqand-o-buKHara hai tumhaari KHatir
tum jo aae ho to is zist ki lazzat pa kar
hum ne aalam ko sanwara hai tumhaari KHatir
aaj hum ne mah-o-anjum ko bhi zahmat di hai
aasmanon se utara hai tumhaari KHatir
lala-o-gul ko bahaaron ko saman-zaron ko
dida-o-dil ne pukara hai tumhaari KHatir
phir yahan shisha-o-saghar se charaghan hoga
phir koi anjuman-ara hai tumhaari KHatir
Nazm
KHush-amdid
Anjum Azmi