ek aise sarwey ke mutabiq
jo mere dost
apne dil ko mausul hone wali
ghair-zaruri KHabron ko jama kar ke
murattab kar rahe hain
shahr mein koi KHud-kushi nahin kar raha
mohabbat mein nakaami par finail pine wali laDkiyan
aur naukri na milne par
baDe bhai ke licence-yafta pistol se
KHud-kushi karne wale laDke
bahut din se nazar nahin aae
dupaTTe ka phanda bana kar mar jaane wali
be-aulad dulhanen
aur tawil bimari se tang aa kar
KHud ko jala kar halak karne wale
udheD-umar mariz
napaid ho gae hain
shahr mein ab jis ko bhi KHud-kushi karni ho
use bahut ziyaada tag-o-dau nahin karni paDti
wo bahar nikalta hai
aur thoDi der ke liye
nishana-bazon wali yellow cab ka
intizar karta hai
ya jab us ki saDak ke donon taraf
KHub firing ho rahi ho
wo bila-irada balcony mein ja ke khaDa ho jata hai
jab log KHud-kushi karna chahte hain
yaqin kijiye
kisi jinsi imtiyaz ke baghair
rang, nasl aur zaban ke farq ko KHatir mein na late hue
goliyan har jagah
unhen DhunDh nikalti hain
Nazm
KHud-kushi
Zeeshan Sahil