han main ne bhi suna hai tumhaare paDos mein
kal raat ek hadsa-e-qatl ho gaya
han main ne bhi suna hai ki ek jam zahr ka
do jiwanon ki nannhi si nauka Dubo gaya
koi dukhi jawan watan apna chhoD kar
apni sakhi ke sath ek aur des ko gaya
duniya ke KHarzar mein sau Thokaron ke baad
yun aaKHir un ka qissa-e-gham KHatm ho gaya
yun tai kiya unhon ne mohabbat ka marhala
ek ek ghonT aur jo hona tha ho gaya
donon ki aankh mein tha ek ek ashk munjamid
jo KHushk KHushk palkon ki noken bhigo gaya
kuchh kahne pai thi ki wo KHamosh ho gai
koi jawab dene ko tha wo ki so gaya
paimana-e-ajal ka wo talKHaba is tarah
ruhon ke zaKHmon sinon ke daghon ko dho gaya
aksar yunhi hua hai ki ulfat ka imtihan
dushwariyon mein maut ki aasan ho gaya
aao na hum bhi toD den is dam-e-zist ko
sang-e-ajal pe phoD den is jam-e-zist ko
Nazm
KHud-kushi
Majeed Amjad