wo kaisi tarik ghaDi thi
jab mujh ko ehsas hua tha
main tanha hun
us din bhi sidha-sada suraj nikla tha
shahr mein koi shor nahin tha
ghar mein koi aur nahin tha
amman aaTa gundh rahi thin
abba chaarpai par baiThe ungh rahe the
dhire dhire dhup chaDhi thi
aur achanak dil mein ye KHwahish ubhri thi
main duniya se chhuTTi le lun
apne kamre ko andar se tala de kar kunji kho kar
zor se chiKHun chiKHta jaun
lekin koi na sunne pae
chaqu se ek ek rag-o-reshe ko kaTun
aur bhayanak sachchai ka dariya phuTe
har kapDe ko aag laga dun
shoalon mein nange-pan ka sannaTa kude
wo din tha aur aaj ka din hai
kamre ke andar se tala laga hua hai
kunji gum hai
main zoron se chiKH raha hun
mere jism ka ek ek resha kaTa hua hai
sab kapDon mein aag lagi hai
bahar sab pahle jaisa hai
koi nahin jo kamre ka darwaza toDe
koi nahin jo apna khel zara sa chhoDe
Nazm
KHud-agahi
Farhat Ehsas