KHizan ki ibtida se intiha tak
sara mausam hi KHizan hai
guzarte ja rahe hain jitne lamhe sab KHizan hain
magar wo nim-jaan patta
jise pahli hi purwai ke pahle sard jhonke ne
sameTa hai
nae ek TuTte patte se sargoshi mein kahta hai
KHizan to ja chuki thi
Nazm
KHizan phir aa gai kya
Pirzada Qasim